Sahw Kya Hai?
Sahw Arabic language ka word hai us ki meaning hai: bhoolna, yani jo kaam karna chahiye use bhool jana aur galti se dosra kaam kar dena is ko sahw kahte hain,
Sajda Sahw Kya Hai?
Namaz me koyi wajib cheez chhoot jaye, ya kisi farz cheez ko pahle ya baad me karne se namaz kuchh kami ho jati hai isi kami ko pura karne ke liye aakhiri rakat me Tashahud ke baad 2 sajda karte hain isi ko sajda sahw kahte hain.
Sajda Sahw Kyun Zaruri Hai?
Har koyi janta hai ki namaz ki halat me ulte seedhi baten hamare mind me aati rahti hain, aur tarah tarah ke khayal hamare dil me paida hote rahte hain, yah sab shaitan ki taraf se hota hai, aur shitan hamari namaz ko kharab karne ki koshish karta rahta hai, aur kabhi bekhayali me aadmi galti kar baithta hai, isi galti ko theek karne aur shaitan ki koshish ko bekar karne ke liye shariat ne namaz me sajda sahw karne ka order dia gaya hai, ek hadees me aaya hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «إِنَّ أَحَدَكُمْ، إِذَا قَامَ يُصَلِّي جَاءَهُ الشَّيْطَانُ فَلَبَسَ عَلَيْهِ، حَتَّى لَا يَدْرِيَ كَمْ صَلَّى، فَإِذَا وَجَدَ ذَلِكَ أَحَدَكُمْ، فَلْيَسْجُدْ سَجْدَتَيْنِ وَهُوَ جَالِسٌ». [صحيح البخاري: 1222، صحيح مسلم: 389]
Translation: Hazrat Abu Hurairah (R Z) se riwayat hai, Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jab tum me se koyi aadmi namaz padhne ke liye khada hota hai to shaitan us ke paas aa kar us ko confuse kar deta hai, us ke baad aadmi ko yah pata nahi rahta ki us ne kitni rakat padhi hai, jab tum me se koyi is tarah ki baat feel kare to us ko chahiye ki baithe baithe 2 sajda aur kar le”. [Sahih Bukhari: 1222, Sahih Muslim: 289]
Sajda Sahw Kab Wajib Hota Hai?
Namaz me sajda sahw ke wajid hone ke kuchh reason hote hain jin ko hum number wise bata rahe hain, jab un me se reason paya jaye ga tab sajda sahw wajib hoga other wise nahi hoga:
(1) Kisi farz ya wajib amal ko us ki real place se pahle kar dena for example: kisi bhi namaz ki pahli aur dosri rakat me Alhamdu ke baad surat padhne se pahle Ruku me chale jana, ya Alhamdu se pahle surat padh lena.
Explication: aap ko maloom hona chahiye ki har namaz ki pahli aur dosri rakat me Sure Fatiha ke baad Surat padhi jati hai, aur yah tarteeb wajib hai, to agar kisi ne Sure Fatiha ke baad surat milane se pahle ruku kar dia to yah baat tarteeb ke khilaf hogi, aur us aadmi ko akhir me sajda sahw karna pade ga.
(2) kisi Farz ya wajib amal ko us ki real place se baad me karna, for example: pahli rakat ka ek sajda bhool gaya aur dosri rakat me yaad aane par 3 sajda kar lia, ya Sure Fatiha ko surat se baad me padh li.
(3) Kisi farz ya wajib ko double kar lena jaise: Ruku double kar liya, ya ek rakat me 3 sajde kar liye.
(4) Kisi wajib ki condition ko change kar dena jaise: Zohar aur Asar ki namaz me imam zor se ya buland aawaz se qirat kar de, aur Magrib, Isha aur Fajr ki namaz me aahista ya dhire se qirat kar de.
Explication: Jin Namazon me zor se qirat (yani Alhamdu aur sur surat ko buland aawaz se padhna) hai un namazon me zor se qirat karna wajib hai, aur jin namazon me aahista qirat hai un me aahista qirat wajib hai, to agar bhool kar imam ne ulta kar dia to us par sajda sahw wajib ho jaye ga, aur agar jaan boojh kar kia to namaz fasid[1] ho jaye gi, us ko phir se namaz padhi hogi.
Zor se aur aahista qirat ka masla jamat aur imam se related hai, agar koyi aadmi tanha ya akele namaz padh raha ho to us ko ikhtiyar hai chahe zor se qirat kare ya aahista kare.
(5) Kisi wajib ko bhool kar chhor dena for example: Tashauhud nahi padha, ya Sure Fatiha Chhor dia.
Namaz Me Jaan Boojh Kar Kisi Wajib Chhor Dena
Aap ko maloom hona chahiye ki uper jo hum sajda sahw ke reason bataye hain yah us soorat me hai jab bhool kar ya galti se koyi wajab chhot jaye, aur agar kisi ne jaan boojh kar koyi wajib chhor dia to ab us aadmi ko namaz phir se padhni hogi, sajda sahw se kaam nahi chale ga.
Namaz Me Kisi Farz Ko Ada Na Karna
Agar namaz me koyi farz chhot jaye jaise: Qayam, Qirat, Ruku, Sajda ogairah, chahe bhool kar chhota ho ya jaan boojh kar, aur namazi salam pher kar namaz khatam karde to aisi surat me namaz nahi hogi, namaz ko phir se padhna zaruri hai, yahan sajda sahw bhi kafi nahi hoga, kyun ki jo cheez namaz me farz hai, yani us ke begair namaz hi nahi hoti jab wah chhot gayi to ab namaz kaise sahi hogi.
Sajda Sahw Karne Ka Tarika
Sajda sahw ka tarika yah hai ki aakhiri rakat me Qada Akhira me Tashauhud ke baad only right side salam pher kar 2 sajda karo, in dono sajdon me bhi wahi tasbeeh hai jo sajde me adhi jati hai, alag se koyi tasbeeh nahi hai, dono sajdon ke baad ab phir se Tashauhud, Darud Shareef, aur Duaaye Masorah padh kar salam pher do.
Sajda Sahw Kab Tak Kar Sakta Hai?
Agar kisi par sajda sahw wajib tha lekin us ne sajda sahw karne se ahle salam pher dia, us ke baad use yaad aaya ki mujhe sajda sahw karna hai, to jab tak wah apni jagah par qibla ki taraf face kar ke baitha rahe, aur koyi aisa kaam na kare jis se log yah samajh len ki wah namaz me nahi hai, us waqt tak wah sajda sahw kar sakta hai.
Sajda Sahw Se Related Masle
Qada Akhira Ke Waqt Bhool Kar Khada Ho Jana
Qada akhira namaz ke aakhir me hota hai, aur yah farz hai, yani agar yah chhoot jaye to namaz nahi hoti hai, agar koyi aadmi qada akhira me baithne ke bajaye khada ho jaye to us par zaruri hai ki agli rakat ke sajda se pahle pahle qada akhira ki taraf return ho jaye, aur Attahiyaat padh kar right side salam pher kar sajda sahw kar le, us ki namaz ada ho jaye gi, aur agar wah qada ki taraf return na hua, aur agli rakat ka sajda kar lia, to us ki farz namaz nafal ho jaye gi, us ko chahiye ek rakat aur padh le, aur farz namaz phir se padh le.
[1] yahni kharab ho jaye gi.
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.
Sajda sahu ka Jo taiqa apne bayan kia hai wo mere khayal se sahee nahi hai.
Mein bhee pehle aap ke batiya hua taiqa apnata tha. Lekin mere kuch Milne wale Arab se wapas aye. Unlogo ne bayan ke Arab mein poori namaz ke baad hi do sajde karte hain.