Note: Jis bhai bahan ko abhi namaz padna bilkul nahi aata wah please sab se pahle: Namaz Parhne Ka Tarika in Hindi Urdu par click karen is me: namaz ki nayat, aur namaz kaise padhni hai, ruku sajda, Qada ula Akhira, phir namaz me surat kaise padhe, A To Z namaz ke bare me bataya gaya hai, us ke baad is article ko padhen, is se aap zada fayda hoga.
Namaz ishraq ek nafal namaz hai, yani us ke padhne se sawab mile ga aur na padhne se koyi gunaah nahi, yah 2 rakat se lekar 12 rakats tak hain.
Namaz Ishraq ki Fazilat
Namaz e ishraq se related hadison me bahut fazilat aayi hai ek riwayat me hai:
عَنْ أَنَسٍ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: “مَنْ صَلَّى الغَدَاةَ فِي جَمَاعَةٍ ثُمَّ قَعَدَ يَذْكُرُ اللَّهَ حَتَّى تَطْلُعَ الشَّمْسُ، ثُمَّ صَلَّى رَكْعَتَيْنِ كَانَتْ لَهُ كَأَجْرِ حَجَّةٍ وَعُمْرَةٍ”. رواه الترمذي في سننه(586).
Translation: Hazrat Anas (R Z) kahte hain ki: Rasulullah (S A W) ne farmaya: “Jis shakhs ne Fajr ki namaz jamat ke sath padha, phir masjid me baith kar suraj ke nikalne tak allah ko yaad karta raha, us ke baad us ne 2 rakat namaz padh le to us ko ek Hajj aur Umre ka sawab mile ga”. (Tirmizi Hadees No: 586)
Explaination: Yah hadees Mard aurat dono ke liye hai, koyi aurat apne ghar me fajr ki namaz padh kar zir o Quran ki tilawat me busy rahe aur sunrise ke baad 2 rakat namaz padh le to use bhi wahi sawab mile ga jo is hadees me aaya hai.
Ek aur Hadees me aaya hai:
عَنْ أَبِي الدَّرْدَاءِ، وَأَبِي ذَرٍّ، عَنْ رَسُولِ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنِ اللهِ تَبَارَكَ وَتَعَالَى أَنَّهُ قَالَ: “ابْنَ آدَمَ ارْكَعْ لِي أَرْبَعَ رَكَعَاتٍ مِنْ أَوَّلِ النَّهَارِ أَكْفِكَ آخِرَهُ”. رواه الترمذي في سننه (475).
Translation: Hazrat Abu Darda aur Hazrat Abu Zar (R Z) Rasulullah (S A W) se riwayat karte hain ki aap (S A W) ne farmaya ki: “Allah tala farmata hai ki: Ai aadam ki aulad din ke starting me 4 rakat padh liya kar mai din ke end tak tera zimmedar hun”. (Tirmizi Hadees No: 475)
Ishraq Ki Namaz Ka Time
Sunrise ya Suraj nikalne ke 15, 20 minutes ke baad ishraq namaz ka time start hota hai.
Barish Ke Mausam Me Jab Suraj Dikhayi Na De
Ishraq Ki Namaz Kitni Rakat Hai?
Ishraq ki namaz 2 rakat se le kar 12 rakats tak hai, jaisa ki upar ki hadison me us ki taraf ishara milta hai. yah time par depend hai chahe 2 rakat padhe, chahe 4 ya 8 ya 12 rakats.
Namaz Ishraq Padhne Ka Tarika
Isharaq ki namaz ka padhne ka tarika yah hai ki 2, 2 rakat nafal ki niyat kare, aur usi tarah padhe jaise har 2 rakat wali namaz padhi jati hai, yani dono rakat me alhamdu aur soorat padhna zaruri hai, is tarah jitni rakat padhna chahen sab me alhamdu aur koyi na koyi soorat padhi jaye gi.
2 Rakat Ya 4 Rakat Wali Namaz Ka Tariqa Jan ne Ke Liye Click Karen
Join our list
Subscribe to our mailing list and get interesting stuff and updates to your email inbox.